phool lay kar agay aya rota huwa,Musheer Kazmi

Phool lay kar gaya,aya rota howa!!
Baat assi ha kahny ka yara nahi!!
Qabar e iqbal say arhi thi sada!!
Ye chaman mujh ko adha gawara nhi!

Shahr e matam tha iqbal ka maqbra!
Khun main laat paat kharay thay leyaqt ali

Rooh e qaid bhi sar ko jhokay howay
Kah rahy thay ye kya ghazab ho gaya
Ye tasawur tu har giz hamara nahi
Ye chaman mujh ko adha gawara nahi

Qabar e iqbal say arhai thi sada..

Sar nigun tha qabar pay minar e watan
Kah raha tha k ay tajdar e watan
Ajj k no jawun ko bhala kya khabar
Kasay qayim hoa ye minar e watan.

Jis ki khatir katay mard o zaan
On ki tasweer ha ye minara nahi!
qabar e iqbal say arhi thi sada!
Ye watan mujh ko adha gawara nahi!

Kuch aseeran e gulshan thay hazir wahan!
Kuch seyasi mahashy bhi mojod thay!
Chand tarun k parcham main liptay hoay!
Chand tarun k lashay bhi mojood thay!

Mera hansna tu pahly he ik juram tha!
Mera rona bhi on ko gawara nahi!!
Qabar e iqbal say arhi thi sada…

Kya fasana kahun mazi o haal ka
Shair tha ma ik,araz bangal ka!
Sharq say gharab tak meri parwaz thi!
Aik shaheen tha ma zahain e iqbal ka!!

Aik bazo pay urta hun ma ajj kal!!
Dosra dushmano ko gawara nahi!!
Qabar e iqbal say arhi thi sada!
Ye chaman.mujh ko adha gawara nahi!

Yun tu kahnay ko ghar ha salamat rahy!
Khench de ghar main dewar aghiyar nay!
Aik thay jo kabhi ajj do ho gay!
Tokray kar dala dushman ki talwar nay!
Sar nigun ho gay,sar figun ho gay!!
Jesay koi bhi reshta hamra nahi!

Kuch tumhri nazakat ki majboriun
Kuch hamari sharaft ki majboriun
Tum nay rokay muhabat k khud rastay
Is tarhan barhti gain dooriun!
Khol don tum pay raz e muhabat magar!
Teri roswaiun bhi gawara nahi!
Qabar e iqbal say arhi thi sada!
Ye chaman mujh ko adha gawara nahi!

Wo jo tasweer mujh ko dekhai gai!
Meray khoon e jigar say banai gai!
Qom e maao bahnoo ki jo abroo!!
Naqsha e asia pay sajai gai!!
Mor do abro,ya wo tasweer do!!
Hum ko hisun main batna gawara nahi!

Qabar e iqbal say arhi thi sada!!
Ye chaman mujh ko adha gawara nahi!

Late Musheer Kazmi

Late Musheer Kazmi

Bandeshain by Ibn e Mufti

Featured

b1

Bandeshain.gif002

Bandeshain.gif003

Bandeshain.gif004

Bandeshain.gif005

Bandeshain.gif006

Bandeshain.gif007

Bandeshain.gif008

Bandeshain009

 

Comments on the story from  www.myopera.com/ibnemufti

Khair Bakhshkhairbakhsh # Monday, February 28, 2011 11:32:57 AM

Welcome Ibnmufti, othan to zabardast hy chalo aage dekhte hain k kia twist leti hy kahani….

Unregistered user # Friday, February 11, 2011 7:35:40 AM

Gul Ahmed writes: ibne mufti ka afsana par k esy laga jesy humary mohashary mi mojood na-insafio ka parda chak kia gaya ho….!!! is mi shak ni k alfaz ka chanao nehayat jandar hy aur markazi khayal b shandar, GEo MUfTi… zoor-e-kalam aur 

Khair Bakhshkhairbakhsh # Monday, February 28, 2011 11:54:48 AM

Ibn Mufti, excellent my dear. Bahut dinoo k baad myopera khola to aap ke
id dekh kr idhr chala aaya aor Bandeshain parha, aap ki pehle 2noo contribution yaad agye. Wohi lafzoo ki kar’wahat aor jazboo ki moat! Yar, aap ki har tehreer mujhe rula deti hy. Mian Miskeen to abhi tak mujhe yaad hy… 

Muhammed Baseer Ali H,ibn e muftiibnemufti # Thursday, March 3, 2011 9:45:57 PM

Originally posted by khairbakhsh:

Wohi lafzoo ki kar’wahat aor jazboo ki moat! Yar, aap ki har tehreer mujhe rula deti hy.

mashkoor hun.
dedar karaty rahyee. 

MuaviaMuavia2 # Tuesday, April 26, 2011 6:49:01 PM

me parta rha, malom nahi me kia ta or kaha ta, behr haal ek bayanak khwab, ek bura sapna, ek aisa bazar k jaha khobsorat jazbo ke sat zina biljibr, ek aisi wadi k jaha ka charty soraj ke ek haat mai zindgi ki pias bujany klye khoon or dosry haat mai zindgi ke qarar or sukoon klye zehr ki piali ho orr her dahlta soraj hamary nachar shahoor or zameer pe khandazan, ek aisa tareek choraha k jiska ek rasta ek gumnaam sehra ki taraf or dosra rasta be ab wo gia or sunsaan medano ki taraf nikalta ho. kahani khatam hogyai to aisa laga ke kisi ne zordar gonsa mere sr pe raseed ki ho. me ne allah ka shukar ada kia ke YA ALLAH TERA LAAK LAAK SHUKAR HAI KE DUNIYA KM SE KM AB TK WIASI TO NAHI, ORR NA HI ZINDGI ITNI BERONAK OR BADAAM KE KHALI KHOL KI TARAH HAI KE JIS TARA HAMARY MUFTI SAAB KE QALAM KI KAWISH SE HOTY HOTY REH GAYI HAI. Khuda ka khof karo mufti saab, tm hamary ujry daman mai orr kitny ched karogy orr hamary luty howy kafiley ki raho ko orr konsy registan ki taraf dakelogy?
 

MuaviaMuavia2 # Tuesday, April 26, 2011 7:23:36 PM

tere her lafz ke haat mai ek aisa khanjar jo sirf zindagi ka hi gala kaat sakta ho orr tere kahani(BANDISHAIN) k her mor insani zindgi klye sahi mano mai holnak hai, tere kahani(BANDISHAIN) ke baground music ki dhun iske ilawa orr kia hosakti hai keh HEY LOGON UTTO ORR ZINDGI KO AZMAT KI BULANDION SE GIRA KR ZILAT ORR PASTI KE QABRISTAN MAI DAFAN KERDO QK ZINDGI NE PASTI KE QABRISTAN MAI HI DAFAN HONA HAI . keu daraty ho mere bacho ko yar? kitini mushkilo se me ne inhe zindgi se piyar or insani rishto se mohabat or wafadari ki rah dikayi hai, tmhare kahani ki roh se to zindgi ek aisi ibadat khany ki manind hogayi hai keh jaha??????????????? maaf kerna mai tora jazbati sa hogya ta. Allah mj pe or tm pe rehem karain, agr hamy rehem ki beek na mili to kia tikana 

Muhammed Baseer Ali H,ibn e muftiibnemufti # Wednesday, April 27, 2011 9:41:35 AM

hymmmm!sach tu sach hota ha na!ab qasoor ankhoon ka kaho ya manzar ka….kis ko parwa!shukriaaaaaaaaaaaaaaaaaa jan e baradar!

“meray ahbab kahtay hain yehi ek aib ha mujh main!
saray dewaar likhta hun pas e dewaar k qisay!!!!

Unregistered user # Wednesday, May 1, 2013 7:23:39 PM

fakhira writes: mje nahi samjh arahi k comment mai kia likhon but aik aik line mai hakikat chupi hui nazar arahi hai….ksi k bekasoor hoty hoye b kasoor waar hona nazar arha hai..ye dunia hai yahan sab kuch hota hai…kuch log kehty hain k afsany hakikat mai nahi hoty ye takhiyool ki zuban hoty hain par mai nahi manti ye dunia hai aur yahan har waqt kisi na kisi goshy mai kisi na ksi kony mai kisi na kisi be kasoor k sath kasoor waar ka tag laga k us ko sangsaar kiya ja rha hota hai…..anyways its great aur aik mukamal tarjumani hai mazloom ki…….. 

Muhammed Baseer Ali H,ibn e muftiibnemufti # Friday, May 3, 2013 7:36:57 PM

well!ur words reflects wisdom,ty for giving feed backOriginally posted by anonymous:

fakhira writes:

mje nahi samjh arahi k comment mai kia likhon but aik aik line mai hakikat chupi hui nazar arahi hai….ksi k bekasoor hoty hoye b kasoor waar hona nazar arha hai..ye dunia hai yahan sab kuch hota hai…kuch log kehty hain k afsany hakikat mai nahi hoty ye takhiyool ki zuban hoty hain par mai nahi manti ye dunia hai aur yahan har waqt kisi na kisi goshy mai kisi na ksi kony mai kisi na kisi be kasoor k sath kasoor waar ka tag laga k us ko sangsaar kiya ja rha hota hai…..anyways its great aur aik mukamal tarjumani hai mazloom ki……..