phool lay kar agay aya rota huwa,Musheer Kazmi

Phool lay kar gaya,aya rota howa!!
Baat assi ha kahny ka yara nahi!!
Qabar e iqbal say arhi thi sada!!
Ye chaman mujh ko adha gawara nhi!

Shahr e matam tha iqbal ka maqbra!
Khun main laat paat kharay thay leyaqt ali

Rooh e qaid bhi sar ko jhokay howay
Kah rahy thay ye kya ghazab ho gaya
Ye tasawur tu har giz hamara nahi
Ye chaman mujh ko adha gawara nahi

Qabar e iqbal say arhai thi sada..

Sar nigun tha qabar pay minar e watan
Kah raha tha k ay tajdar e watan
Ajj k no jawun ko bhala kya khabar
Kasay qayim hoa ye minar e watan.

Jis ki khatir katay mard o zaan
On ki tasweer ha ye minara nahi!
qabar e iqbal say arhi thi sada!
Ye watan mujh ko adha gawara nahi!

Kuch aseeran e gulshan thay hazir wahan!
Kuch seyasi mahashy bhi mojod thay!
Chand tarun k parcham main liptay hoay!
Chand tarun k lashay bhi mojood thay!

Mera hansna tu pahly he ik juram tha!
Mera rona bhi on ko gawara nahi!!
Qabar e iqbal say arhi thi sada…

Kya fasana kahun mazi o haal ka
Shair tha ma ik,araz bangal ka!
Sharq say gharab tak meri parwaz thi!
Aik shaheen tha ma zahain e iqbal ka!!

Aik bazo pay urta hun ma ajj kal!!
Dosra dushmano ko gawara nahi!!
Qabar e iqbal say arhi thi sada!
Ye chaman.mujh ko adha gawara nahi!

Yun tu kahnay ko ghar ha salamat rahy!
Khench de ghar main dewar aghiyar nay!
Aik thay jo kabhi ajj do ho gay!
Tokray kar dala dushman ki talwar nay!
Sar nigun ho gay,sar figun ho gay!!
Jesay koi bhi reshta hamra nahi!

Kuch tumhri nazakat ki majboriun
Kuch hamari sharaft ki majboriun
Tum nay rokay muhabat k khud rastay
Is tarhan barhti gain dooriun!
Khol don tum pay raz e muhabat magar!
Teri roswaiun bhi gawara nahi!
Qabar e iqbal say arhi thi sada!
Ye chaman mujh ko adha gawara nahi!

Wo jo tasweer mujh ko dekhai gai!
Meray khoon e jigar say banai gai!
Qom e maao bahnoo ki jo abroo!!
Naqsha e asia pay sajai gai!!
Mor do abro,ya wo tasweer do!!
Hum ko hisun main batna gawara nahi!

Qabar e iqbal say arhi thi sada!!
Ye chaman mujh ko adha gawara nahi!

Late Musheer Kazmi

Late Musheer Kazmi

Leave a comment